Hamare blog par aap ko technology ki posts,health tips,cook tips,life style se related ,study se related post jaise kya?,kaise? karen ,aap ko is blog par esi hi posts mil jayengi technology tips,lifestyle,study tips,cook tips,health tps,tech news,earn money

Recent Posts

Breaking

Monday 21 January 2019

how to remove pimples|keel muhase kase hataye


KEEL – MUHASE :








Dosto is post ko pura aur sahi dhang se padhna tabhi aap ise samagh kar is ka labh 
utha sakoge .
Dosto aaj ke is samay me bahut kam log hi ese hai ki jo keel – muhaso se bach rahe hai .jawani ka daur suru hote chehre par keel – muhase hone lag jate hai . yeh rog adhiktar yuvak – yuvtiyo ko hota hai .yadi dekha jaye to yuva awastha  me hone wala yeh rog soth yukt charm rog hai . aap bhi dekhte hai kimjab koyi bhi jawani ki dehlijj par kadam rakhta hai to us ko yeh rog awasya hta hai ,chahe wo yuvak ho ya yuvti ho  ,yeh to us ki umra par depend  karta hai .

Aaj ke is samay me bahut kam log is rg se bache hai . yeh rog 30 – 35 years tak hi chalta rahata hai  aur is ke bad inka nikalna band ho jata hai .kuch logo mai ye is samay ke bad bhi chalta rahata hai ab aap ke man me ek question to jaroor aata hoga ki yeh rog kyo hota hai  , aap aur ham sabhi to soch lete hai ki jawani ke sath ye anek rog hote hi hai ,is ka abhi tak vegyaniko par koyi thos sabot nahi hai  ki yeh kyo hata hai  .

KEEL – MUHASO KE KARAN :

Aap sabhi sochte honge ki ye keel muhase kyo hote hai ya kya karan hai ki yeh rog hota hai .   keel – muhase ek aam rog hai , is rog ka bhar adhiktar yuva  ladke aur ldkiya ghelti hai .  is rog se shikar yuvako ki apeksha yuvtiya adhik grasit rahati hai . ek aur bat aap ke samne aa rahi hai wo hai ki ladke in keelo se utna bhay – bhit nahi hate jitna ki ladki hoti hai . ladki apne face par 1 – 2 keelo ke mare hi ghabra jati hai , kyoki ve apne man me adhik – sundarta ka moh pal leti hai .




Keel – muhaso karog yuvak aur yuvtiyo dono ka hai ye dono is vicar se sataye jate hai ,is ke liye shodh – Adhyayan kiye gaye hai   aur  bataya gaya hai  ki yeh rog wasa granthiyo  ke vicar ke karan aur pranali wihin granthiyo ke asantulan ke 
parinamswaroop hota hai .harmons ke srav se utpann hone wala vicar nischya hi is rog ki jad me rahata hai . lekin bat ab yeh aati hai ki vegyanik abhi bhi un harmons ka pata nahi hai  is rog ka karan pana vegyaniko ke liya bhi kathin ho raha hai .

Keel muhase skin ki wasa granthyo ka sapuy shoth hai jo 14 – 22 years ki aayu me hota paya jata hai . twak – wasiy aur balo ke romkoop twak wasa se band ho jane par skin ki pesiyo ka stress ban jata hai  jiske karan granthiyo ka utsaran kam ho jata hai .uske bad dhool aur gandgi se keel ban jati hai  .keel me “steflocokks” ke sankramad se twak – wasiy garnthiyo aur aas – pass ke uttako me shoth utpann ho jata hai 
. keel – muhase ahiktar face par  hote hai ,parantu kuch logo  ko back aur chest par bhi ho jate hai .
Aanto me hone wale vikaro ki wajah se bhi keel – muhase hote hai . keel - muhase  oil granythiyo ke pradah – yukt awastha hoti hai .

KEEL – MUHASO KE MAIN LAXAN :

App kase janege ki keel muhase kaha – kaha aur kase hste hai inki kuchh jankari yah di jar ahi hai . Jamana jaise – jaise tarakki karta chala  ja raha hai  ,vese -vese rogo ki baad si aa gayi hai .adhunik sabhyata ke rang me range fitrati logo ka rahan – sehan  ,khana – pina ,uthna – bethna achar – vichar me huyi tabdili in rogo ki jad hai .  adhiktar keel – muhaso  se pidhit yuvak – yuvatiya pahale se hee kabj ke sikar rahare hai . jamane ki bhag – dod aapa – dhapi ,hod iska main karan hai .


Jaroor dekhen : game se pase kamaye free mein

                          
Akshar dekha jata hai ki yuva - awastha me enter karte hai .javan ladke – ladkiyo ke face par funsiya – si ubhar aati hai  .jaroori nahi hai ki keel – muhase face par hee ho ,ye  back , chest  aur shoulder par bhi nikal jate hai . keel – muhase  adhiktar alag – alag rahate hai .muhaso ke mukh  par athwa nock par kale rang ki ek prakar ki “dott”  si rahati hai .ye  charm – granthiyo ki nalikao par apni jade jama kar skin par ye ubhar jate hai .
KEEL – MUHASO KE THIK HONE KE UPAY : 
   
Adhiktar ladko ki apeksha ladkiya in ke ho jane par chintit hoti hai ki yeh ab thik to ho  jayengi lekin bahut kathin hai .Hello dosto  ab aap chinta mat karo ham aap ke liye kuchh esse upay bata rahe hai ki jo bahu thee sasan hai ,ap un ko karne me samrth honge . to chaliye ham jan lete hai ki ve  kon – se upay hai jo is rog ko thik  karne me sahayak hai .


Dosto hame dhyan me rkhna chahiye ki  inko thik karna asan hai ,lekin hamre dwara suni – sukayi ausadhi aur vidhiyo  ko  apnakar  khud hee chikitsa karna kdapi khatro se khali naih hai .yadi aap un vidhiyo ka upyog kate hai to  aap ke liye yeh ghatak ho sakta hai .kyoki face par chote aur kam pimples ek bhayanak roop le lte hai , aur yeh bhi ghatit  ho sakta hai ki app kurup face ko prapt ka loge
Hame chikni - cream ,sabun ,marham ,ointment aadi ka upyog nahi karna chahye . 

Yadi aap chahte hai ki face se pimples ko todna hai ya nichodna hee hai to sabse pahale aap apne face ki achhi prakar  se safayi kar len .aur sawdhani se apni keelo ko nikalna chahiye .keel nikal jane ke bad 2%kailamel lotion  aur 3% potash salfurate milakar taiyar  kiya gaya pest  apne chahre par masalna hai .
1.     Caoyna plain tablet  ko wayasko ko 2 – 3 tikiya din me 3 – bar ya awasyktanusar  sevan karaye ya age ke hisab se bhi de sakte hai
2.    Tonsari capsule ko wayasko ko 2 – 2 caps  din me 3 – bar awsyakta anusar sevan karaye .kisoro  ko 1 -2 caps jaroorat ke anusar sevan karaye .
3.    Rakt shodhan bati ko 1 – 2 tikiya din me  2 – 3 bar athwa jaroorat ke anusar sevan karana hai .
4.    Arkmool injection  ,yeh 1 – 2 M.L ka hota hai ,ko din me ek bar athwa saptah me 2 – 3 bar maspesiyo me lagaye
5.    Purila liquid ko 2 – 3 chambach ek din me 2 – 3 bar brabar matra ke jal ke sath sevan krana chahiye .
6.    In sabhi ausadhiyo  ka prayog bahut achhe dhang  se upyog kare . me aap ko yeh bhi bata deta hu  ki ye sabhi dawaye upyogi hai aur yeh koyi bhi vishela vikar utpann nahi karti hai .

DHYAN DENE KI BATE :

Saririk safayi rakhna jaroori hai  yadi safayi nahi hogi to ham na jane kitni bimariyo ko apne sarir me itha lenge .aap ek din me lagbhag 2 – 3 bar apne chehre ko mradu sabun se jaroor dhoyen ,aur face ko sabun se dhone ke bad sundarta wale kisi bhi product ko upyog me na le to achha rahega , aur ha yadi tu chahte ho kin ahi hame to use karna hai to aap lotion ka use kar sakte ho yeh hee aap ke liye behtar hoga .
Swasth face ka raj  uski safayi hi hoti hai .  kuchh lep aur malhamo ke adhar drawy wasa aur jal mil kar pratikriya kar sakte hai ,jis se rom koopo me shodh aur soojan - prdah utpann ho jati hai .

yeh to ap sabhi jante hai ki keel – muhaso ka upchar yadi ham khud hee karte hai to hame dar ki anubhooti hoti hai .yeh thik hai ki hame koyi bhi anjane kam ko karne se pahale thoda darna chahiye .prantu kya kre ise karna hai to Dhiraj to rakhna hi padega . aap ki mehnat ka fall aap ko jaroor achha hi milega  .

    mughe    ummid    hai    ki   is   se   aapko   labh         mila   hoga, yadi aapko aur koyi pareshani ho to commant karen . 



 https://guideaj.blogspot.com

yadi aap ko hamari post pasand  aayi ho to isko apne dosto ke fayde ke liye share jaroor kare . hamare blog par online earning ,tehnology ,health tips ,, cook tips ,life style ,study se related posts  milti hai .hamara lakshay to  yeh hai ki aap jaise dosto aur bhaiyon ki sahayta hamare dwara kisi na kisi tarah se ho jaye hamari anya post ki link is post mai di ja chuki hai yadi aap unhe padh lenge to shayad aap ko thoda kuchh labh jaroor ho jayega
unko padhane ke bad aap ko koyi labh jaroor hoga
is post ko read karne ke liye                                      THANKS  


No comments:

Post a Comment

Youtube Home Page

https://www.youtube.com/channel/UChm1KKuc3YKEwFU4AuZFsJQ