Hamare blog par aap ko technology ki posts,health tips,cook tips,life style se related ,study se related post jaise kya?,kaise? karen ,aap ko is blog par esi hi posts mil jayengi technology tips,lifestyle,study tips,cook tips,health tps,tech news,earn money

Recent Posts

Breaking

Friday 25 January 2019

pneumonia ka gharelu upchar | pneumonia ke thik hone ke upay |nimoniya kase thik hoga


Pneumonia: 


https://guideaj.blogspot.com/
pneumonia ka gharelu upchar



Hello dosto aaj ham bat karenge ki pneumonia kya his aur iske hone ke karan kya hai ,iske main laxan kya hai  aur  awasthaye kon – kon si hai . iske bad ham bat karenge ki isko thik kaise kiya ja sakta hai .

Yeh rog aajkal utna adhik bhayankar nhi rah gaya hai lekin chikitsa ke abhav and laparvahi se hi aaj bhi janleva rog ke roop me  jana jata hai is ki chikitsa avilamb prambh karne se  yeh jaldi thik ho jata hai lekin bigad jane ar jaan bhi le leta hai . old man aur children ka pneumonia janleva ho jata hai ..

Lungs me  atyadhik sardi ka prbhav ho jane ko hi aam bhasa me  pneumoniakaha jata hai .adhiktar yeh old man and children ko kadi sardi ke karan hota hai .kahane ka matlab yeh hai ki bachhe aur budde is rog ke jaldi  shikar hote hai .buddo ki pasliyo me dard hota hai.

Aur bachho ki pasliya chalne lagti hai . pneumonia me lungs me pradah – shoth – soojan ho jati hai . yadi kisi manusya k eek lungs me pneumonia  ho jata hai to is tarah ke  pneumonia ko ‘EKAL pneumonia’ kahate hai , aur yadi dono lungs me pneumonia hai to use ‘double pneumonia’ kahate hai .

PNEUMONIA KE MUKHY KARAN :




Kya aap jante hai ki yeh ati bhayankar chhot  ka rog hai  arthat yeh touch hone se hi ho jata hai .is ke sath jwar hota hai .kuchh chikitsa vegyanik  pneumonia ka main karan “Diplocokks” pneumonia namak jivadu ko mante hai .

 pneumonia peda karne wale jivadu  bahut small hote hai . unhe “Neumocokks” kaha jata hai .  pneumonia hone se isii jivadu  ken nam ka bodh hota hai .iske alawa bhi jivadu
Pneumonia ke liye jimmedar ho sakte hai ,jisme mukhyath “Steptocokks” , “steflowcokks” “plag ke jivadu’’ , “tyfied ke jivadu” “influenja”  ke jivadu  ke sankramad se bhi pneumonia ho jata hai .

Ye jivadu adhiktar kulf aur swash ke medium se rogi se swasth manusya me aa jate hai aur rog ke  laxan  peda karte hai . aur ab ham batatr hai ki ek anya tarah ka jivadu jo “Friedlanders Bacillus” kahalata hai  , pneumonia ko peda karta hai . “Friedlanders Bacillus” main
Pneumonia ke antargat hote huye bhi bahut kam hota hai , ise “Pneumo becilas” bhi kaha jata hai .

Ab dosto ham iske bare me kuch aur jankari ko juta lete hai jo ki is prakar hain  Pneumonia rog ka prarambh atyadhik sardi – jukam -najla aur bronkaits ki badhi huyi awastha ke karan hoti hai . jab sardi purani ho jati hai ,tab waha rogi ke lungs ko buri tarah se aakrant kar deti hai  ,aur Pneumonia rog peda ho jata hai .

saririk kshamta atiadhik chind , deen ,heen ,kamjor ho jane  ke bad bhi bachho aur buddo ko Pneumonia ho jata hai .Rog – pratirodhak kshamta sarir se ghat jaye to bhi Pneumonia rog hone ki pabal sam - bhavna  rahati hai eka -ek  sardi se garmi ya garmi se sardi ho jane  par bhi Pneumonia ka prakop ho jata hai .





 https://guideaj.blogspot.com/
pneumonia ka gharelu upchar



anayas pasina rok diya jaye aur ,usi daruan sahsa sardi lag jaye to Pneumonia ki shikayat hona sambhav hai  . Pneumonia  hone ke pahale yadi mathumeh , anfluenja ,tyfied heart ka rog , vrakko ke rog chechak ,plag etc. rog ho to in rogo ke dauran athwa bad me Pneumonia nischya hi ho sakta hai . .

Uprokt rogo me kyonki rogi  adhik kamjor krashikaye aur axam ho jata hai atha isi karan Pneumonia ke kitadu rogi par turant hamla kar ke usse rog - yukt kar deta hai .bronkaits,dipthiriya , khasra ,mastisk  jwar aadi   rogo ke daran athwa bad me bhi Pneumonia namak rog ho jata hai .

 Pneumonia adhiktar  shisir ritu athwa vasant ritu me hota hai . aksar dekha jata hai  ki Pneumonia 10 years ki aayu  se kam ke bachho ko aur 50 – 60 years se adhik aayu ke buddo ko hota hai . Pneumonia ek bar hone ke uprant  yadi is rog ke prati laparwahi barti jati hai to punh tatha bar – bar bhi Pneumonia rog ho sakta hai .

PNEUMONIA KI PRAMUKH AWASTHAYE :

Hello dosto ab ham jan gye hai ki pneumonia kya hai aur yeh kitne prakar ka hota hai  .ab ham bat kar chuke hai  ki wo konsi galtiya hai jinse yeh hota hai ya we karan konse hai , aao ab is post ke dwara  is ki sabhi awasthao  o jaan lete hai  .

Pneumonia ki main awastha nimn hai yadi rogi ka prathmik awstha me hi upchar nahi karaya to waha 3 – 4 awasth me dead hone ki isthiti me aa jata ha , is liye hame jab pata chal jaye ki is ke ab Pneumonia  ho gya hai to turant upchar shuru kr dena chahiye   .yadi dhyan nahi diya gya to rogi ki death bhi ho sakti hai .

1 PRATHMAWASTHA :

Wyu kosthako ke cells me soojan a jati hai , waha ki rakt – wahiniya fool jati hai bloodka pani wayu kosthko me bhar jata hai .lungs ka rog – grast bhag soojan yukt raktila laal aur bhari ho jata hai . cells band ho jane se us me wayu ka pravesh kam ho jata hai . is awastha me dhimi aur sookhi khasi aati hai .swas ki awaj sunayi nahi padti hai .is awastha me 2 – 3 din ka time lagta hai .

2 DWATIYA AWASTHA :



pneumonia ka gharelu upchar


is awastha me rogi ke lungs  ka shoth yukt bhag thos ho jata hai ,in lungs ki kis kathorta ke ktan lungs ke cells me khoon – pani jama ho jata hai .is awastha ko “Red Hepatization”  kaha jata hai

3 TRATIYA AWASTHA :

Jab teesri awastha suru hoti hai ti hamare lungs me cells me bhara rakta – pani peele rang ki mawad me change ho jaate hai . rog -grast ad aadmi ke lungs to kathor hi bane rahane . rogi apni charam awastha par aa jata hai .is tesri awastha ko “grey – Hepatization” kaha jata hai . is awastha me khoob tej jwar aur anidra rahati hai .

Pneumonia Ke pramukh laxan :

Ab dostoaap soch rahe honge ki hame pata kase chalega ki kis ke Pneumonia  hai aur kis ken ahi hai , to ab aap chinta mat karo  me aap ko is post ke dwara sab  - kuchh bata rahhu . yadi aap ke pass ke kisi  rogi ke ye laxan   hai to waha Pneumonia  ka rogy hai
 -----Pneumonia me tej jwar rahata hai . kabhi – kabhi ti rogi ko jwar 105 degree forenight tak pahuch jata hai aur waha bahut jor se pralap karne lagta ha . usko swas lene me paresani aati hai .

Prthmawastha me rogi ko balgam nahi aata hai ,lekin bad me swas tej hoti chali  jati haiaur sath hi nadi ki speed bhi badh jati hai uske bad ki awastha me nadi kshind, kamjor ,heen, ,mand pad jati hai .is ka rogi jyada bol nahi pata hai ,yadi waha bolne kosis karta hai to khasi ka dora suru ho jata hai  kayi bar esa bhi hota hai ki rogi khas – khas karbedam ho jata hai  .  lagbhag 5 – 6 din kre bad jwar apne aap ksm ho jata hi . 
12 – 14 dino me jwar bilkul utar jata hai . is me bhookh mar jati hai aur khana achha nahi lagta hai  jibh sook jati hai aur us par kali parat see jam jati hai .
Yeh  rogi ke kuch laxan hai.

Pneumonia ke thik hone upay  :

Hello dosto ab ham jan gye hai ki pneumonia kya hai aur yeh kitne prakar ka hota hai  .ab ham bat kar chuke hai  ki wo konsi galtiya hai jinse yeh hota hai ya we karan konse hai , aao ab is post ke dwara  un sabhi upayo ke bare me jaan late hai jo  hamare is sarir me ho jati hai .

1.    Kastoori bhairav injection :   is injection ki size 1 – 2 M.L hai ,ka rojana  athwa ek din chhodkar  ya jarooratke hisab se maspesiyo par lagaye .

2.    Tapi kar injection :   yeh  1 M.L ka injection hai .isko bhi aap jaroorat ke anusar  maspesiyo me lagane se fayda hota hai .

3.     Kafton sarbat :  wayasko ko 2 – 2 chambach  din me 3 – 4 bar sevan karaye aur yadi koyi bacha hai ti aap us ki   age ko tya kar ke hi usi ke hisab se dena hai ..

4.   Kuril teblate :  ko bachho ko 1 – 1 tikiya din me 2 – 3 bar de aur wayasko ko 2 – 3 tikiya din me 2 – 3 bar jaroorat ke anusar  rojana sevan karne ka nirdesh de   .yeh pneumonia me ati upyogi hota hai .
 https://guideaj.blogspot.com
mughe    ummid    hai    ki   is   se   aapko   labh         mila   hoga, yadi aapko aur koyi pareshani ho to commant karen . 
yadi aap ko hamari post pasand  aayi ho to isko apne dosto ke fayde ke liye share jaroor kare . hamare blog par online earning ,tehnology ,health tips ,, cook tips  ,study se ,life style se related tips milti hai .hamara lakshay to  yeh hai ki aap jaise dosto aur bhaiyon ki sahayta hamare dwara kisi na kisi tarah se ho jaye hamari anya post ki link is post mai di ja chuki hai yadi aap unhe padh lenge to shayad aap ko thoda kuchh labh jaroor ho jayega
unko padhane ke bad aap ko koyi labh jaroor hoga
is post ko read karne ke liye                                      THANKS  

No comments:

Post a Comment

Youtube Home Page

https://www.youtube.com/channel/UChm1KKuc3YKEwFU4AuZFsJQ